khamoshi
Ansoon kahoon ya khaamosh paani,
Kis baat ka gam karoon......
aap meri zindagi mein kyun aayeya aakar kyun chale gaye.
Zindagi ka dariya to chalta rahega
Par aap saath hote to kya baat hoti........
Yun nahi ke khushiyan nahi,
bas akelepan ki chaadar tale dabi hui si hain
Bheed mein ek hee chehre ki talaash,kaash ki kabhi aap nazar aayein
Aapse shikwe karun ya shikayat,
nafrat ya mohabbat, sochta hai dil.........
Par mohabbat ke samander ke aalam mein
nafrat ki lehrein aayein bhi to kahan se.
Ye sochti hoon ki na jaane,
kya sochta hoga unka dil.....
gar ye khayaal hee na aata to kya baat hoti.
Roshni ke ujalon mein andhera sa chhaya hai,
aapki majbooriyon ko seene se lagaya hai,
Ye zindagi khuda ki den hai.....
gar is baat ki quadr na hoti
To aaj sirf yaadon ka karwaan hota,
unhe bayan karne wali zubaan na hoti.


0 Comments:
Post a Comment
<< Home